Posts

Showing posts with the label Poetry

Happy New Year 2018

Image
Aye naye saal bata tujh mein naya kya hai..? Tu naya hai tu dikha subah nayi,shaam nayi, Warna in aankhon ne dekhen  hain saal kayi.. Har taraf khalq ne kyun shor mcha rakha hai, Roshni din ki wohi, Taron bahri raat wohi, Aaj hum ko nazar aati hai baat wohi, Aasman badla hai na badli ye afsurda zameen, Ek hindse ka badalna koi jiddat toh nahi, Pichle barson ki tarha hon ge qareene tere, kise maloom nhi 12 maheene tere, Be sabab dete hain kiyun log mubarak badein, Sub kya bhool gaye waqt ki karrwi yadein, Tu naya hai tu dikha subah nayi,shaam nayi, Warna in aankhon ne dekhen  hain saal kayi.. Happy New Year 2K18... Thank You.

Dream Girl

Image
Uljhi uljhi rehti woh khud mein, Bahar se duniya suljhati hai woh Chori chori kare woh batain khud se, Raag mohabbat ke gaati hai woh Anjaan si duniya mein hai rehti, Kisse shaitani ke sunati hai woh Masoom adaon se nazar ghumake, Dil ki dehleez pe aati hai woh Khwabon ka roshan basta pehan ke, Khushiyon ke phool barsaati hai woh Yaadon ke takiye bheeg jate mere, Jab door nazar se jati hai woh Shehzaadi hai rajkumar ke dil ki, Aangan ko uske chamkati hai woh Tareef mein uski likhun main kiesa, Jeet jaye woh dil jahan jati hai woh. Thank You Gourav Sachdeva

आम आदमी

Image
सुबह सुबह निकले जो घर से, सोच में दिन का हाल क्या होगा, काम भी होगा या होगा सनाटा, तलाश में ख़ुशी की खुद को रोका, वक्त संभाले न संभले जिससे, ये आम आदमी है कभी जिसका ज़िकर न होता  कभी है चिंता घर परिवार की, कभी है चिंता बदलते संसार की, अमृत समझ हर ज़हर है पीता, दौलत के भूखे रिवाज़ों मैं जीता, दुश्मन को दोस्त समझ के चल दे, ये आम आदमी है कभी जिसका ज़िकर न होता खिलौना है जिस सरकार के वास्ते, मुश्किल हैं मुर्दा परस्तों के रस्ते, हक़्क़ न कोई उसके अभिमान का होता, सब कुछ सेहन कर अकेले में रोता, मौत की कीमत न जाने कोई इसकी,  ये आम आदमी है कभी जिसका ज़िकर न होता  क़रीब से देखा ज़िन्दगी को जिसने, अजीब हैं तमाम ये चेहरे कितने, सरे ख्वाब जो उसके शबाब जो उसके, मिट चले फिर आदम से, सवालों के न जवाब हैं जिसके, ये आम आदमी है कभी जिसका ज़िकर न होता  धन्यवाद गौरव सचदेवा

मेरी कहानी

Image
ख्वाब हैं ऊँचे, सोच है ऊँची, छुपा के सब से रखता हूँ मैं गुमनाम हूँ थोड़ा, मेहमान हूँ तेरा, ये बोल खुदा से कहता हूँ मैं वक़त है ऐसा, बदलता है पैसा, खुद को ज़मीन पे रखता हूँ मैं जो रेह्ते करीब, हैं दिल के गरीब, झूठ को सच समझता हूँ मैं नादान हूँ थोड़ा,बचपन से जुड़ा, वफ़ा की उम्मीद रखता हूँ मैं खिलोनो की बस्ती, मौत है सस्ती, प्यार नाम के खेल से डरता हूँ मैं दुनिया का व्यापार, है जिस्म का बाजार, इस मंज़र से रोज़ गुजरता हूँ मैं मोहब्बत है ऐसी,काँटों के जैसी' निगाहों की उलझन से बचता हूँ मैं लौटा हर बार,साहिल के पार, खुद की वीरानी सुनता हूँ मैं वेह्शत में बहता, आरज़ू है लेकिन, मुश्किलों को शाद से सहता हूँ मैं धन्यवाद गौरव सचदेवा

Daughter's Love (Mother's Feeling for her Little Daughter)

Image
Angan main Khili ikk nanhi si kali, Jiske aate e Sabko Khushi hai milli.. anchal main chuppi thi hassi jo meri, muskurane lagi hai umeeden meri.. Seene se laga ke rakhun,duniya se bacha ke rakhun.. nazren lag na jayen, iss jahan ki buri.. Sanson ke chalne ka ab ehsaas hai, zindagi jeene pe pura vishvas hai.. Angan main Khili ikk nanhi si kali, Jiske aate e Sabko Khushi hai milli.. Labon se naam tera har pal gungunati rahun, murat ko main teri mujh main hi smati rahun.. batain main teri geeton jiese sunu, goad main sehla lakhon khwab bunu.. Khele sath main mein bhi bachi ban jaun, Teri gudiya sang balon ko tere main sehlaun.. Kuch na hoga tujhe ye hai wada mera, jab tak zinda hun main badal na irada mera..

Life Poetry(Value of Life)

Image
Dukh toh tab hota hai, Jab koi apna sans khota hai... Duniya main har pal voh hota hai, Jo soch kr mann khud-b-khud rota hai... Aas rakhi hai zindagi main jeene ki, Fir adat kyun bane bandagi se ansu peene ki... Kyun dil ki awaz zuban tak aa nhi pati, Sab kuch paa ke bhi unhe bhula nhi pati... Tasveer ke samne ruk batein bs tujhise karun, Lamhon ko bhula kar roz khud hi se ladun... Na jaane vo sukun vo rehmat chippi hai kahan, Voh bhi kya din the meri jannat thi jab yahan... Lakhon vade tod ke chod chla hai kyun mujhe, Khwab toh dil main hain bda stayenge tujhe... Ye dard bhra kissa hai suna nhi skta, Dil main roz behte hain moti jo baha nhi sakta... Thank you Er. Gourav Sachdeva