Posts

Showing posts with the label fucking world

Justice For Zainab

Image
Aayi ek khabar fir udd ke atyachar ki Hui shikar nanhi jaan ikk naye pariwar ki Na tha koi kusur na kari koi shikayat Pyasi nigahon ne kar daali fir nayi bagawat Kya dhokhebaaz kya bewafa woh jaan Bin soche kaat dale dharam ke kaan Utha le gaye naye ikk shehar anjane Bachi thi woh rasta kya jane Chilayi bhut par awaz na aayi Bajti rahi ghor papon ki shehnai Insaaf ki mang kare do lachar Hawaldar na koi ye balatkar ka bazar Shikayat kya uss khuda se main karun Bachi na laaj ab doob ja marun Jlaa ke maum se shanti kya mile Dhong ye sare sab log hai milee Kehne ko szaayen bnai hai lakhon Agar ho dum toh fasin pe tango Mang na hai meri iss jag se Ho raha sab roz hai kab se Dekh anjane bane ja rhe hain Woh log ye fayda bhune ja rahe hain Kya hakk hai jeene ka unn sabko Hokar ek kat dalo issi jadd ko #justiceforzainab Thanks Gourav Sachdeva

Happy New Year 2018

Image
Aye naye saal bata tujh mein naya kya hai..? Tu naya hai tu dikha subah nayi,shaam nayi, Warna in aankhon ne dekhen  hain saal kayi.. Har taraf khalq ne kyun shor mcha rakha hai, Roshni din ki wohi, Taron bahri raat wohi, Aaj hum ko nazar aati hai baat wohi, Aasman badla hai na badli ye afsurda zameen, Ek hindse ka badalna koi jiddat toh nahi, Pichle barson ki tarha hon ge qareene tere, kise maloom nhi 12 maheene tere, Be sabab dete hain kiyun log mubarak badein, Sub kya bhool gaye waqt ki karrwi yadein, Tu naya hai tu dikha subah nayi,shaam nayi, Warna in aankhon ne dekhen  hain saal kayi.. Happy New Year 2K18... Thank You.

Woh Duniya Ja Ke

Image
Kare Hungama Mil Yeh Zmanaa Dabbi Awaz Ka Naam Kya Aana Gumsum Dariya Se Dar Ko Layee Mehnat Kari Koi Kam Na Aaye Baton Se Logon Ki Ratein Jlaye Kyun Khwabon Ko Apne Suli Cdhaye Har Kisi Kam Mein Tang Adaye Woh Duniya Apni Bhens Chraye Chal Chalen Shatranj Ke Jiese Bina Karam Kare Jitega Kiese Has Has Ke Makhol Udaye Pratibha Ko Sabke Neeche Giraye Ro Ke Apna Kyun Lahu Jlaye Khushi Ke Pakad Ke Dekh Le Sayen Jalne Ki Jo Durgandh Felaye Woh Duniya Apni Bhens Chraye Pyar Ko Becha Kagaj Ko Lakar Izaat Ko Becha Rishte Bhula Kar Dushmani Ki Diwar Bnaye Koi Aiese Bikhre Phulon Ki Mala Ke Jiese Nafrat Ke Kyun Raag Tu Gaaye Junoon Ko Tere Fir Shingar Bnaye Shlok Ka Jo Bhandar Lgaye Woh Duniya Apni Bhens Chraye Thank You Gourav Sachdeva