Happy New Year 2018


Aye naye saal bata tujh mein naya kya hai..?
Tu naya hai tu dikha subah nayi,shaam nayi,
Warna in aankhon ne dekhen  hain saal kayi..
Har taraf khalq ne kyun shor mcha rakha hai,
Roshni din ki wohi,
Taron bahri raat wohi,
Aaj hum ko nazar aati hai baat wohi,
Aasman badla hai na badli ye afsurda zameen,
Ek hindse ka badalna koi jiddat toh nahi,
Pichle barson ki tarha hon ge qareene tere,
kise maloom nhi 12 maheene tere,
Be sabab dete hain kiyun log mubarak badein,
Sub kya bhool gaye waqt ki karrwi yadein,
Tu naya hai tu dikha subah nayi,shaam nayi,
Warna in aankhon ne dekhen  hain saal kayi..

Happy New Year 2K18...
Thank You.

Comments

Popular posts from this blog

Dream Girl

The Real Life Is Always With Our Parents

Life Is a Precious Gift