Woh Duniya Ja Ke



Kare Hungama Mil Yeh Zmanaa
Dabbi Awaz Ka Naam Kya Aana
Gumsum Dariya Se Dar Ko Layee
Mehnat Kari Koi Kam Na Aaye
Baton Se Logon Ki Ratein Jlaye
Kyun Khwabon Ko Apne Suli Cdhaye
Har Kisi Kam Mein Tang Adaye
Woh Duniya Apni Bhens Chraye

Chal Chalen Shatranj Ke Jiese
Bina Karam Kare Jitega Kiese
Has Has Ke Makhol Udaye
Pratibha Ko Sabke Neeche Giraye
Ro Ke Apna Kyun Lahu Jlaye
Khushi Ke Pakad Ke Dekh Le Sayen
Jalne Ki Jo Durgandh Felaye
Woh Duniya Apni Bhens Chraye

Pyar Ko Becha Kagaj Ko Lakar
Izaat Ko Becha Rishte Bhula Kar
Dushmani Ki Diwar Bnaye Koi Aiese
Bikhre Phulon Ki Mala Ke Jiese
Nafrat Ke Kyun Raag Tu Gaaye
Junoon Ko Tere Fir Shingar Bnaye
Shlok Ka Jo Bhandar Lgaye
Woh Duniya Apni Bhens Chraye

Thank You
Gourav Sachdeva

Comments

Popular posts from this blog

Dream Girl

The Real Life Is Always With Our Parents

Life Is a Precious Gift