Justice For Zainab


Aayi ek khabar fir udd ke atyachar ki
Hui shikar nanhi jaan ikk naye pariwar ki
Na tha koi kusur na kari koi shikayat
Pyasi nigahon ne kar daali fir nayi bagawat
Kya dhokhebaaz kya bewafa woh jaan
Bin soche kaat dale dharam ke kaan

Utha le gaye naye ikk shehar anjane
Bachi thi woh rasta kya jane
Chilayi bhut par awaz na aayi
Bajti rahi ghor papon ki shehnai
Insaaf ki mang kare do lachar
Hawaldar na koi ye balatkar ka bazar

Shikayat kya uss khuda se main karun
Bachi na laaj ab doob ja marun
Jlaa ke maum se shanti kya mile
Dhong ye sare sab log hai milee
Kehne ko szaayen bnai hai lakhon
Agar ho dum toh fasin pe tango

Mang na hai meri iss jag se
Ho raha sab roz hai kab se
Dekh anjane bane ja rhe hain
Woh log ye fayda bhune ja rahe hain
Kya hakk hai jeene ka unn sabko
Hokar ek kat dalo issi jadd ko

#justiceforzainab
Thanks
Gourav Sachdeva

Comments

Popular posts from this blog

Dream Girl

The Real Life Is Always With Our Parents

Life Is a Precious Gift