Maa (One and only wish)


Door tu chahe hai mujhse,
Dhadknon ke pass hai magar,
Zindagi ruthe na khud se,
Sath mil jaye tera agar,

Khali rahon par main bhatkun,
Raston ki na hai koi khabar,
Intzaar main krta hun tera,
Mil jaye mujhko mera manzar,

Tanha na tha pehle main kabhi,
Ab nhi mera koi nagar,
Ankahi kuch dastaan bhi thi,
Dar se mere har pal rahe guzar,

Maa tujhe kiese batlaun main,
Bahri mehfeel ki reet hai kya,
Hath tera ser par chahun main,
Jo bhi tha sab kuch hai kho gya,

Hai khuda ab mila de maa se tu,
Mamta ki lori se sehal jane de,
Door kyun rishte kraye tu,
Maa ki godi mein hi maar jaane de,


I love you mom.

Thank You
Gourav Sachdeva

Comments

Post a Comment

Popular posts from this blog

Dream Girl

The Real Life Is Always With Our Parents

Life Is a Precious Gift