Posts

Untold Feeling's

Image
We all have someone special official or unofficially to imagine our life with. 😌😌                     May be you have not proposed the one you like,                     May be He/She is not even aware that you have crush on them,                     But you have Imagined them every time when you saw a couple holding hand in hand or                      hugging in public.                     You have imagined how you would hold the one you like,                     You have imagined telling all of your secrets,                     You have imagined staying all night awake for them,         ...

Justice For Zainab

Image
Aayi ek khabar fir udd ke atyachar ki Hui shikar nanhi jaan ikk naye pariwar ki Na tha koi kusur na kari koi shikayat Pyasi nigahon ne kar daali fir nayi bagawat Kya dhokhebaaz kya bewafa woh jaan Bin soche kaat dale dharam ke kaan Utha le gaye naye ikk shehar anjane Bachi thi woh rasta kya jane Chilayi bhut par awaz na aayi Bajti rahi ghor papon ki shehnai Insaaf ki mang kare do lachar Hawaldar na koi ye balatkar ka bazar Shikayat kya uss khuda se main karun Bachi na laaj ab doob ja marun Jlaa ke maum se shanti kya mile Dhong ye sare sab log hai milee Kehne ko szaayen bnai hai lakhon Agar ho dum toh fasin pe tango Mang na hai meri iss jag se Ho raha sab roz hai kab se Dekh anjane bane ja rhe hain Woh log ye fayda bhune ja rahe hain Kya hakk hai jeene ka unn sabko Hokar ek kat dalo issi jadd ko #justiceforzainab Thanks Gourav Sachdeva

Happy New Year 2018

Image
Aye naye saal bata tujh mein naya kya hai..? Tu naya hai tu dikha subah nayi,shaam nayi, Warna in aankhon ne dekhen  hain saal kayi.. Har taraf khalq ne kyun shor mcha rakha hai, Roshni din ki wohi, Taron bahri raat wohi, Aaj hum ko nazar aati hai baat wohi, Aasman badla hai na badli ye afsurda zameen, Ek hindse ka badalna koi jiddat toh nahi, Pichle barson ki tarha hon ge qareene tere, kise maloom nhi 12 maheene tere, Be sabab dete hain kiyun log mubarak badein, Sub kya bhool gaye waqt ki karrwi yadein, Tu naya hai tu dikha subah nayi,shaam nayi, Warna in aankhon ne dekhen  hain saal kayi.. Happy New Year 2K18... Thank You.

Woh Duniya Ja Ke

Image
Kare Hungama Mil Yeh Zmanaa Dabbi Awaz Ka Naam Kya Aana Gumsum Dariya Se Dar Ko Layee Mehnat Kari Koi Kam Na Aaye Baton Se Logon Ki Ratein Jlaye Kyun Khwabon Ko Apne Suli Cdhaye Har Kisi Kam Mein Tang Adaye Woh Duniya Apni Bhens Chraye Chal Chalen Shatranj Ke Jiese Bina Karam Kare Jitega Kiese Has Has Ke Makhol Udaye Pratibha Ko Sabke Neeche Giraye Ro Ke Apna Kyun Lahu Jlaye Khushi Ke Pakad Ke Dekh Le Sayen Jalne Ki Jo Durgandh Felaye Woh Duniya Apni Bhens Chraye Pyar Ko Becha Kagaj Ko Lakar Izaat Ko Becha Rishte Bhula Kar Dushmani Ki Diwar Bnaye Koi Aiese Bikhre Phulon Ki Mala Ke Jiese Nafrat Ke Kyun Raag Tu Gaaye Junoon Ko Tere Fir Shingar Bnaye Shlok Ka Jo Bhandar Lgaye Woh Duniya Apni Bhens Chraye Thank You Gourav Sachdeva

The Cockroach Theory for Self Development By Sundar Pichai

Image
At a restaurant, a cockroach suddenly flew from somewhere and sat on a lady. She started screaming out of fear. With a panic stricken face and trembling voice, she started jumping, with both her hands desperately trying to get rid of the cockroach. Her reaction was contagious, as everyone in her group also got panicky. The lady finally managed to push the cockroach away but ...it landed on another lady in the group. Now, it was the turn of the other lady in the group to continue the drama. The waiter rushed forward to their rescue. In the relay of throwing, the cockroach next fell upon the waiter. The waiter stood firm, composed himself and observed the behavior of the cockroach on his shirt. When he was confident enough, he grabbed it with his fingers and threw it out of the restaurant. Sipping my coffee and watching the amusement, the antenna of my mind picked up a few thoughts and started wondering, was the cockroach responsible for their histrionic behavior? If so, th...

Maa (One and only wish)

Image
Door tu chahe hai mujhse, Dhadknon ke pass hai magar, Zindagi ruthe na khud se, Sath mil jaye tera agar, Khali rahon par main bhatkun, Raston ki na hai koi khabar, Intzaar main krta hun tera, Mil jaye mujhko mera manzar, Tanha na tha pehle main kabhi, Ab nhi mera koi nagar, Ankahi kuch dastaan bhi thi, Dar se mere har pal rahe guzar, Maa tujhe kiese batlaun main, Bahri mehfeel ki reet hai kya, Hath tera ser par chahun main, Jo bhi tha sab kuch hai kho gya, Hai khuda ab mila de maa se tu, Mamta ki lori se sehal jane de, Door kyun rishte kraye tu, Maa ki godi mein hi maar jaane de, I love you mom. Thank You Gourav Sachdeva

Dream Girl

Image
Uljhi uljhi rehti woh khud mein, Bahar se duniya suljhati hai woh Chori chori kare woh batain khud se, Raag mohabbat ke gaati hai woh Anjaan si duniya mein hai rehti, Kisse shaitani ke sunati hai woh Masoom adaon se nazar ghumake, Dil ki dehleez pe aati hai woh Khwabon ka roshan basta pehan ke, Khushiyon ke phool barsaati hai woh Yaadon ke takiye bheeg jate mere, Jab door nazar se jati hai woh Shehzaadi hai rajkumar ke dil ki, Aangan ko uske chamkati hai woh Tareef mein uski likhun main kiesa, Jeet jaye woh dil jahan jati hai woh. Thank You Gourav Sachdeva